धड़कने मेरी तुझको बुलाती रहीं

DHADKANE MERI SUN

10-02-2023 • 21 mins

Tu ret pr likhi ibarat thi kabhi

Ab to pattharon taq pe likh diya maine

Dam hai to Mita ke dikha

Kiya aandhi kiya toofan

Ab to baarishon taq se Kah diya maine

Ek baar teri yaadon ke babasta

Jashn-e-mohabbat ko anjaam diya

Sare vaadon sari kasmon sari rasmon ko bhi anjaam diya

Sabke sab aaye pr Tu nahi aayee

Rah rah ke teri yaaden aati rahi

Dhadkane meri tujhko bulati rahi

Dhadkane meri tujhko bulati rahi