Gehri Neend Ke Liye Relaxing Story - Beat the Clock

Neend - Sleep Stories for adults in Hindi

27-10-2021 • 31 mins

Humare app ko install karne ke liye iss link par click kare: https://bit.ly/3zDVXic


Kehte hai waqt har shay gulaam hota hai, jo waqt ki kadar nahi karta hai, waqt uski kadar nahi karta hai. Yeh bhi kaha jata hai, ki, jis ne waqt ko thaam liya vah aage badh jaata hai varna waqt gavana toh sabse aasaan hota hai. Shaayad, issliye waqt ko, deewar par taang diya gaya hai, ghadi ki shakla mein, taaki aap aware rahe, guzarte waqt ko le kar. Lekin, waqt toh phir bhi guzarta hi rehta hai khush rehne ke liye waqt ka haath thaam lijiye. Jab aapke paas waqt hoga toh aap zyaada santusth honge, tab aap apne shauk bhi pure kar paayenge aur chain ki neend bhi le sakenge. Varna der raat tak jaag kar kaam karne ke baad bhi thaka feel karenge, kehte hai raat sone ke liye bani hai ek acch neend aapko agle din ke liye taiyaar karti hai, aapko urja se bhi bhar deti hai, ek acchi si neend. Iss baare mein hum aur bhi dher sari baatein karenge aur aap kahani sunte sunte neend ki aagosh mein samate chale jaayenge.


#insomniacure #neendnaaayetokyakare #insomniatreatment #neendaanekailaj #sleepdisorder #nindaanekeupay #sleepproblems#bedtimestoriesforadults #sleepstoriesforadults #AcchiNeendlaanekeliyekyakare #Acchineend #Insomniacure #neend #sleep #kahani #Relaxing #SleepBetter #Dreams #Khaawb #InmproveSleepCycle #DeepSleep #GehriNeendSona #NeendMeinLeen #SleepGoals #ChutkiMeinNeendAana #TurantNeendLaaneKiTrick

--- Send in a voice message: https://anchor.fm/neend/message