Rajasthan ke ek chote se gaanv mein mitti ke bartan banane wale ke ghar teesari beti ka janm hua. Pita Sumer ne apne bhagya ko phir durbhagya samajhkar kosa, lekin apni do betiyon ko kho chuki maa Malati uss nanhi si jaan ko dekhkar mamata se bhar uthi.
Bade dulaar se uska naam rakha “NEERJA”.
Neerja, maano sachmuch keechad mein khila kamal ho. Neerja yaani hamari Neeru ki bachpan se bas ek hi zid thi, usey school jana tha.
Khilaune se khelne ki umr mein Neerja ne dekha ek bada sapna, neeli batti wali gadi paane ka sapna. Neerja ki zindagi mushkil halaat aur samaj ki roodhivaadi bediyon mein jakadi thi, lekin uska junoon inn sabse se bada tha. Ek khwaab se haqiqat ki ore jaane wale iss kathin raaste par uska sahara bani uski maa, himmat bani uski teacher aur hausalon ko pankh diya, uske pyaar ne. Iss sabke saath apni paristhitiyon se lagataar joojhati aur jeetati Neerja apne laskhya ki ore ek lamba safar tay karti rahi aur poora kar dikhaya voh sapna,
Jo iss desh mein sabse jyada aankhen dekhti hain.
Paa liya voh lakshya, jo iss desh ka sabse kathin lakshya hai…
IAS Banana…
Ye kahani hai, Toofan se ladne wale ek diye ki.
Ye kahani hai Neeru ke Madam IAS Neerja Mandal banane ki.
Kitne mushkil tha ye safar,
Janane ke liye suniye “Madam IAS”
See omnystudio.com/listener for privacy information.