Lalach Buri Bala

Folk Tales

21-02-2022 • 6 mins

Sarvgun sampan Torali ki sundarta aur guno ka bakhaan gaon gaon main tha. Anant Phukan yehi sunte sunte usse vivaah ka prastav le Torali ke pita ke paas pahuchta hain. Vivaahite ho, Torali aur Anant sukh se apna Jeevan vyatit kar rahe the. 5 putron se dono ka Jeevan bhar jata hain lekin vyapaar main dheere dheere nuksan hona shuru hota hain. Ek durghatna main Anant apni aankhein kho deta hain. Torali ke upar ghar chalane aur sambhalne ka bhaar pad jata hain. Torali bhagwaan se ek aur putr mangti hain jo uska sahara bane aur bhagwan use ek Saanp pradan karte hain. Torali ke dukho ka upay kya ye saanp hain. Jaaniye Folk Tales ki iss kahani main.