Orchid Ke Phool

Folk Tales

24-03-2022 • 9 mins

Aap sabhi ne orchid ke phoolon ko dekha bhi hain, saraha bhi hain, lekin kya aapne kabhi ye socha ki ye phool kaise astitva main aaye. Folk Tales ke ye kahani aapko lekar jayegi Arunachal Pradesh, jaha ek khushhaal rajya main ek paropkari raja aur uska parivar aur sukh samriddhi main nivas karte the. Raja ki beti vivah-yogya jab huyi to kai gunvaan aur paripakav prastav uske liye aaye jinhe wo thukrati rahi. Aakhirkaar raha aur rani ne haar maan li aur unki beti unhi ke saath rahi. Rajukumari apna samay rajmhala main beetati jaha ek din wo behosh payi jaati hain. Samay chalte koi ilaaj kaam nahi aata aur Raja and Rani bhagwaan ke sharno main samay beetate hain. Aise main ek din, ek yuvak basuri liye kehta hain wo Rajkumari ko hosh main la sakta hain. Jaane aage hote hain aur kya hain Orchid ke phoolon ki kahani.