Is episode mein jaaniye, kaise Subhash Chandra Bose ne apni girftari ke baad bhi azaadi ke andolan ko naya mod diya. Angrez sarkar ne bina kisi mukadme ke Subhash ko girftaar kar Kolkata jail bhej diya. Par jail ki deewarein bhi unke saahas aur jid ko qaid nahi kar paayi.
Unhone jail ke bheetar hi bhukh hartaala shuru kiya. Angrez sarkar Subhash ki haalath bigadne se ghabra gayi. Majboor hokar unhe raha karna pada. Par rahaayi ke turant baad Subhash ne andolan ko aur tej kar diya. Kya Subhash ki yeh himmat aur rajniti angrezon ko kamzor kar payegi?